junun-awar shab-e-mahtab thi pi ki tamanna mein

junun-awar shab-e-mahtab thi pi ki tamanna mein
ki bah kar rail mein ashkon ke hum the sair-e-dariya mein

hamari khak par aahista thokar mar ai zalim
mabaada shisha-e-dil tut chubh jawe tere pa mein

tumhaare aabla-paon ko jangal yaad karta hai
lahu har khar se tapke hai ab lag dast-e-sauda mein

ba-kaifiyyat tha az-bas raat mazkur us ki aankhon ka
bhari thi bu-e-nargis yak-qalam har jam-e-sahba mein

ghubar-e-ah-e-tufan se chhupi hai khak mein basti
ye 'uzlat' shahr mein tha ja raha nagah sahra mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close