junun ba-khair har aafat se kaamran nikle talash-e-manzil-e-jaanan mein hum jahan nikle hum aa gae rasan-o-dar tak mohabbat mein tumhaare qaul faqat zeb-e-dastan nikle sitam-shiaron ne har ek sitam ke baad kaha hamare dil ke abhi hausle kahan nikle nikalna un ka saja kar wo mang mein afshan ki jaise shab mein sitaron ka karwan nikle na jaane kaun si taqat thi jis ne rok diya junun ki rah mein hum jab bhi na-gahan nikle meri tabahi ka afsana ban gae hamdam wo baal-o-par jo pas-e-shakh-e-ashiyan nikle laga ke khana-e-'hasrat' mein aag kahte hain is aag se na kabhi dekhna dhuan nikle