junun-e-dil ka abhi tarjuman baqi hai labon pe mohr lagi hai zaban baqi hai gai ruton ka abhi tak nishan baqi hai gali mein ek shikasta makan baqi hai na pochhiye abhi unwan mere fasane ka ye ibtida hai abhi dastan baqi hai dubo diya tha kabhi jis ko tund tufan ne usi safine ka ek baadban baqi hai hazar bar zamane ne karwaten badlin hamare sar pe wahi aasman baqi hai ek aashiyane pe bijli giri to rona kya hamare waste sara jahan baqi hai 'nigar' khana-e-dil mein basi hai virani makin chala gaya lekin makan baqi hai