junun-e-ishq jaanan aql ke maron se kya kahta in asnam-e-khayali ke parastaron se kya kahta mohabbat kholti hai raaz hushyari-o-masti ke na khulte ye to main in ke talab-garon se kya kahta jafa se us ka maqsad dil jigar ka pas-e-khatir tha wafa karta to gham ke naz-bardaron se kya kahta suna karta sada baaten agar buqraat-o-luqman ki to phir us bazm-e-hasti ke tarah-daron se kya kahta jahan bar-dosh the har-chand jalwe mehr-e-taban ke yahin rukta to shab ke chand aur taron se kya kahta jo rindon mein na jata mahfil-e-waz-o-nasihat se to chashm-e-mai-gun mast-e-naz mah-paron se kya kahta