junun ka koi fasana to hath aane do main ro padunga bahana to hath aane do main apni zat ke raushan karunga virane qubuliyat ka zamana to hath aane do main rup aur sanwarunga dastanon ke kisi ka qissa purana to hath aane do meri nazar mein zamane ki kaj-adai hai nishan bahut hain nishana to hath aane do kharid lunga main duniya zamir ki 'sahil' zara ruko ye khazana to hath aane do