junun ka zikr mera aam ho gaya to kya main tere shahar mein badnam ho gaya to kya koi usul mera matmah-e-nazar to raha shahid-e-hasrat-e-nakaam ho gaya to kya jahan ne kis ko sazawar-e-agahi jaana jo main bhi morid-e-ilzam ho gaya to kya koi salib pe latka kisi ne zahar piya mera bhi gar yahi anjam ho gaya to kya hazar shamen jala kar ziya bikher gaya khamosh main jo sar-e-sham ho gaya to kya harif-e-gardish-e-ayyam to raha barson main aaj kushta-e-alam ho gaya to kya