junun sukun khirad iztirab chahti hai tabiat aaj naya inqalab chahti hai na aaj teri nazar se baras raha hai nasha na meri tishna-labi hi sharab chahti hai nahin surur-e-musalsal nibah par mauquf mudam aankh kahan lutf-e-khwab chahti hai suna raha hun fasana teri mohabbat ka ye kaenat amal ka hisab chahti hai wo azm-ha-e-safar la-zawal hote hain hayat maut ko jab ham-rikab chahti hai jhulas raha hai badan dhup mein jawani ki ye aag zulf ka gahra sahab chahti hai harif-e-husn-o-mohabbat ho der tak 'shaukat' nigar-e-umr wo ahd-e-shabab chahti hai