junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai yahan jo kuchh nazar aata hai taswiron ki had tak hai ghubar aasar karti hai musafir ko subuk-gami tilism-e-manzil-e-hasti to rahgiron ki had tak hai zamane tu ne gham ko bhi numaish kar diya aakhir nashat-e-girya-o-matam bhi zanjiron ki had tak hai