junun ziyaada bahut hota aql kam hoti main qahqaha bhi lagata to aankh nam hoti hazaron chand sitare chamak gae hote kabhi nazar jo teri mail-e-karam hoti nahin hai maslahat-e-gham ko aarzu teri tera jo gham bhi na hota to aankh nam hoti har ek zahr ko tum ne bana diya tiryak jo tum na hote har ek sans meri sam hoti thahar na jata agar main faraaz par 'mamun' talash-e-gham bhi meri hasil-e-adam hoti