justuju ab kahan baqi hai tujhe pane ki

justuju ab kahan baqi hai tujhe pane ki
ek hi zid hai zamane se guzar jaane ki

main wo sahra hun jo har samt se bikhra hua hai
aur isi sahra se khwahish hai ulajh jaane ki

hijr mein ab kahan milta hai sukun pahle sa
aur bikhri hui har chiz hai kashane ki

shahr ki bhid mein gum ho gae mai-khwar sabhi
raunaqen pahli si baqi nahin maikhane ki

hum to zinda hain teri chah mein pyari duniya
aur talab kuchh bhi nahin hai tere diwane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close