juz aur kya kisi se hai jhagda faqir ka kutton ne rok rakkha hai rasta faqir ka ujla hai us se badh ke kahin ruh ka libas maila hai jis qadar bhi ye kurta faqir ka jab dhup ke safar mein mera ham-safar bana bargad se bhi ghana laga saya faqir ka dariya kabhi palat ke nahin aaya aaj tak badlega kis tarah se irada faqir ka kutiya ka ho ki koi mahal ka muqim ho har aadmi ke sath hai rishta faqir ka