kaam bas nam ka nahin hota nam kuchh kaam ka nahin hota aaj ki sham ka jo aalam hai har kisi sham ka nahin hota chain had se badha to yaron phir chain aaram ka nahin hota yun to is be-khudi ke masale mein sab gunah jam ka nahin hota aage aaghaz ka tariqa tha ab to anjam ka nahin hota intizar aahaton ka jitna hai itna paigham ka nahin hota dard to sirf dard hai ke dard khas ya aam ka nahin hota ek pal main ne bhi to bandha hai pyar bas ram ka nahin hota har koi daropdi bache itna hausla shyam ka nahin hota