kaam koi to kabhi waqt se aage kar ja ai dil-e-zinda mere marne se pahle mar ja saghar-e-chashm ko zahrab se khali kar de aur jo bharta hai tu paimana-e-hasti bhar ja tishnagi kam ho magar dur na hone pae apne pyase ko na sairab-e-mohabbat kar ja khak se ta-ba-falak khwab ka phaila daman koi koshish na kahin aur tamanna har ja tu musafir tere kis kaam ki shohrat 'sayyad' ye sakhawat sar-e-dahliz-e-rafiqan dhar ja