kab ahl-e-ishq tumhaare the is qadar gustakh unhen tumhin ne kiya chhed chhed kar gustakh baham ye jama hue khub idhar udhar gustakh ki dil bhi mera hai teri bhi hai nazar gustakh hamein mila bhi to mashuq kis tarah ka mila jafa pasand bad-akhlaq fitna-gar gustakh hum apne dil se mohabbat mein be-khabar na rahen ki hai bahut kisi gustakh ki nazar gustakh kisi ne mujh ko rulaya koi hansa mujh par jo tu hua to hua tera ghar ka ghar gustakh kaha tha main ne ki dil ko sazaen aap na den ye pesh-tar se hua aur beshtar gustakh adab se kaam wo lete nahin sar-e-mahfil yun hi ho aur koi dusra agar gustakh hum aur zikr-e-mohabbat dil aur shikwa-e-gham khamoshiyon ne tumhaari kiya magar gustakh mujhe jawab ye qabl-az-sawal dene laga ab is se hoga siwa kya payambar gustakh dil-o-nazar ko lihaz-o-haya se kya matlab ye be-adab hai sarasar wo sar-ba-sar gustakh kabhi kabhi jo teri sharm-gin nigah mile to main banaun use chhed chhed kar gustakh ye tajarbe ne bataya ye aadaton se khula wo jis qadar hai mohazzab usi qadar gustakh kahin tumhein bhi dubo de na bahr-e-ulfat mein bahut hai nuh ka tufan-e-chashm-e-tar gustakh