kab is zamin pe mujhe aarmida hona tha hawa se khak ko barson parida hona tha agar thi daman-e-jaanan ki aarzu ai dil to chand dam ke liye aab-dida hona tha kisi ke chehre pe hota kisi ke daman mein mujhe bhi aankh ka ashk-e-chakida hona tha kabhi na khidmat-e-daman se sarfaraaz hua wo hath hun ki jise na-rasida hona tha kamal-e-be-adabi se ye arz karte hain hamin se a qad-e-jaanan kashida hona tha agar thi lazzat-e-pamal ki hawas ai dil ba-shakl-e-sabza zamin par damida hona tha ajab na tha ki use rahm kuchh na kuchh aata meri umid tujhe abr-dida hona tha kamal-e-rabt mein hoti hain saikadon baaten na is qadar tumhein hum se kashida hona tha tera jamal bana main kabhi, kabhi ehsan gharaz ye thi ki mujhe barguzida hona tha khuli ab aankh to kya faeda 'nasim' afsos na samjhe zer-e-lahad aarmida hona tha