kab mila koi rahbar tere ganw mein khub bhatke hain dar dar tere ganw mein zulm sah kar bhi teri tamanna kare hai koi hum sa dilbar tere ganw mein aadmi aur haiwan ke rup mein ye bhi dekha hai manzar tere ganw mein ye hamara hi dil hai ki hansta raha chot par chot kha kar tere ganw mein kaun dukhda sune kaun khae taras dil sabhi ka hai patthar tere ganw mein kaun dil ko bacha kar chale kis tarah har qadam par sitamgar tere ganw mein 'raaz' apne sukhan par tu nazan na ho aur bhi hain sukhan-war tere ganw mein