kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila main to jugnu ki tarah apni hi mutthi mein mila bhag nikla tha jo tufan se chhuda kar daman sar-e-sahil wahi duba hua kashti mein mila aankh raushan ho to duniya ke andhere kya hain rasta mahtab ko raaton ki siyahi mein mila main jalata raha tere liye lamhon ke charagh tu guzarta hua sadiyon ki sawari mein mila tu ne mangton ko uchatti hui nazren bhi na din hath phailaya na jis ne use jholi mein mila main ek aansu hi sahi hun bahut anmol magar yun na palkon se gira kar mujhe mitti mein mila mahfilon mein kiya logon ne 'muzaffar' ki talash wo bhatakta hua afkar ki wadi mein mila