kab se nazar lagi thi darwaza-e-haram se

kab se nazar lagi thi darwaza-e-haram se
parda utha to ladiyan aankhen hamari hum se

surat gar ajal ka kya hath tha kahe to
khinchi wo tegh-e-abru faulad ke qalam se

sozish gai na dil ki rone se roz-o-shab ke
jalta hun aur dariya bahte hain chashm-e-nam se

taat ka waqt guzra masti mein aab raz ki
ab chashm-dasht us ke yan hai faqat karam se

kudhiye na roiye to auqat kyunke guzre
rahta hai mashghala sa bar-e-gham-o-alam se

mashhur hai samajat meri ki tegh barsi
par main na sar uthaya hargiz tere qadam se

baat ehtiyat se kar zaea na kar nafas ko
baalidgi dil hai manind-e-shisha dam se

kya kya tab uthae kya kya azab dekhe
tab dil hua hai utna khugar tere sitam se

hasti mein hum ne aa kar aasudgi na dekhi
khultin na kash aankhen khwab khush adam se

pamal kar ke hum ko pachhtaoge bahut tum
kamyab hain jahan mein sar dene wale hum se

dil do ho 'mir' sahab us bad-maash ko tum
khatir to jama kar lo tak qaul se qasam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close