kab se phira raha hai junun ku-ba-ku hamein kar lo kabhi khuda ke liye ru-ba-ru hamein bujhta hua charagh hai suraj ke samne le aai hai kahan pe rah-e-arzu hamein karte hain ek sarab se baaten hum aaj-kal zamzam ki regzar mein hai justuju hamein dube hain kyon ana ke samundar mein sargiran hasti ki mustaar mili aabju hamein subh-e-azal jo aap hue hum se ham-kalam yaad aa rahi hai aaj wahi guftugu hamein phenka tha jo kisi ki taraf hum ne ek din patthar laga hai aa ke wahi hu-ba-hu hamein kamzor hum hue hain ki bachche bade hue dete hain wo jawab abhi du-badu hamein hone laga hai aaj 'hidayat' nasha haran karne laga hai ishq jo be-abru hamein