kab tak hawa-e-shauq se dil ko bachaiye

kab tak hawa-e-shauq se dil ko bachaiye
mausam ka jo bhi mashwara ho man jaiye

pi hai agar sharab to kuchh lutf uthaiye
kyon itni ehtiyat zara ladkhadaiye

lene na degi chain mohabbat ki tez aanch
chhinton se us ko aaj hawas ke bujhaiye

itna lihaz ruh ka aur itni farbahi
jhuta hai shaikh baaton mein us ki na aaiye

wo ba-wafa nahin na sahi khush-ada to hai
gar kuchh nahin to hazz-e-nazar hi uthaiye

waiz bayan-e-khuld bahut khub hai magar
ek roz us ki bazm mein bhi ho ke aaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close