kab tak 'shakil' dil ko dua kijiyega aap behtar yahi hai un ko bhula dijiyega aap phir tishna-e-jamal bana dijiyega aap rukh se naqab ulat kar gira dijiyega aap dil ke ewaz to gham hi diya aap ne magar ab jaan bhi nazr kar dun to kya kijiyega aap hota jabin-e-husn pe gumnamiyon ka dagh wo to meri nazar ko dua kijiyega aap ehsas-e-tark-e-shauq baja hai magar 'shakil' manga jawab dil ne to kya dijiyega aap