kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD

kabhi ai ashk-e-tar aankhon se dhal pad
kabhi ai aah-e-dil munh se nikal pad

na ai pa-e-tasawwur itna shal pad
kabhi tu la-makan se aage chal pad

hua wo but na do din bhi kabhi ram
jahannam mein tu ai ilm-o-amal pad

wo raqsan bazm mein hain tu bhi ai dil
kabhi to wajd mein aa kar uchhal pad

kisi din to kabhi ai abr-e-rahmat
mere bait-ul-huzan mein bhi undal pad

gul-e-ariz pe un ke misl-e-bulbul
kabhi o tifl-e-dil tu bhi machal pad

mere aage kabhi hath apne dho kar
raqibon ke bhi pichhe ai ajal pad

bahe go aalam-e-imkan par ai chashm
kabhi to surat-e-zamzam ubal pad

nibhi ek pal kabhi jis se na ai dil
usi sarkash ke phir qadmon pe chal pad

kabhi o sher-e-wasf-e-said-e-yar
mere khame ke bhi sanche se dhal pad

'waqar' us bazm mein tu bhi sadaf-war
dahan-e-pak se moti ugal pad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close