kabhi aisa bhi hota hai kinare tut jate hain karo jin par bharosa wo sahaare tut jate hain kabhi mahngai dasti hai kabhi tirchhi nazar un ki hamare hausle az-khud hi sare tut jate hain ye apni apni qismat hai muqaddar hai har ek shai ka nazar se jo utar jate hain tare tut jate hain yaqin kaise karun apne iradon par 'rasa' sahib irade jab bhi karta hun wo sare tut jate hain