kabhi angdai le kar jab samundar jag uthta hai mere andar purana ek shanawar jag uthta hai nasheman-gir hain tair bhala samjhen to kya samjhen wo kaifiyat ki jab shahin ka shahpar jag uthta hai main jab bhi khinchta hun ek naqsha roz-e-raushan ka na jaane kaise is mein shab ka manzar jag uthta hai zamana gamzan hai phir unhi haalat ki jaanib biphar kar jab ababilon ka lashkar jag uthta hai mere ehsas ki rag se ulajh padta hai jo lamha usi lamhe tadap kar ek sukhan-war jag uthta hai wo tare jo chamak rakhte nahin kuchh roz-e-raushan mein shab-e-tarik mein un ka muqaddar jag uthta hai ye mana sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad' zara utra nahin dariya ki banjar jag uthta hai