kabhi bahaaron ke mausamon mein jo dil ki basti ghazal-sara thi

kabhi bahaaron ke mausamon mein jo dil ki basti ghazal-sara thi
wahin kahin ek aarzu ke machalne ki bhi badi katha thi

jala ke jab sari kashtiyan main samundaron ki bani ghiza thi
usi ghadi to jabin-e-shab par likhi gai meri bhi dua thi

bina sahaaron ke zist mushkil guzar aae to phir ye jaana
ki main hi apne hasin chaman ka zamin-e-nam thi shajar ghana thi

mohabbaten bhi rifaqaten bhi adawaten aur nadamaten bhi
mera asasa main jaanti thi kahan wafa thi kahan jafa thi

wirasaton ki kitab kholi to nam mera kahin nahin tha
main chup thi socha ki is mein shayad mere qabile ki bhi raza thi

jalega dil to dhuan uthega ye aag aise nahin bujhegi
nagar nagar ye khabar pahunchti magar hawa ki ajab disha thi

bahut pukara tha manzilon ne 'hina' mujhe un hi raston se
magar musalsal safar tha mera kahin na rukne mein hi baqa thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close