kabhi chanda kabhi suraj kabhi tare sambhaale hain

kabhi chanda kabhi suraj kabhi tare sambhaale hain
sukhnawar ke muqaddar mein magar pairon ke chhaale hain

hamari be-gunahi ka yaqin un ko hua aise
wo jin ko chahte hain ab unhin ke hone wale hain

meri bhuki nigahon mein sharafat dhundne wale
teri sone ki thaali mein mere haq ke niwale hain

hamari jhonpadi ka qad bahut uncha nahin lekin
tere mahlon ke sab qisse hamare dekhe bhaale hain

bhari mahfil mein aa ke puchhte hain haal mera wo
takalluf bhi nirala hai irade bhi nirale hain

chalo ab is jahan ki soch se nazren hata len hum
jahan tak dekhte hain har kisi ke hath kale hain

dubo kar mere khwabon ka safina par utro tum
aur is 'ehsas' ke sapne to lahron ke hawale hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close