kabhi hawa kabhi bijli ke ham-rikab hua phir is ke baad main jine mein kaamyab hua nazar-nawaz nazare the mere chaaron taraf khuli jo aankh to barham wo sara khwab hua kabhi jo bais-e-rahat tha ahl-e-dil ke liye ye kya hua ki wo manzar bhi ab azab hua wo al-atash ki sadaen wo karb-e-tishna-labi furaat jis ke tasawwur se aab aab hua hamari chikh fazaon mein kho gai yani khula daricha koi wa na koi bab hua hamare qatl ki sazish mein tha sharik to kya khata muaf karam us ka be-hisab hua ana pasand tabiat ki sarfaraazi dekh ki 'naz' khak mein mil kar bhi aaftab hua