kabhi hudud se bahar kabhi wo had mein raha mera yaqin hamesha guman ki zad mein raha hai bahr-o-bar mein rawan haal mera sayyara gahe wo burj-e-samak mein gahe asad mein raha usi ke dam se rahi zindagi ki rangini junun ka kaif jo paimana-e-khirad mein raha use nasib kahan lazzat-e-sabil-e-safar wo karwan jo nigahbani-e-rasad mein raha use kahan se milegi tere makan mein aman tamam-umr jau paikar-e-nek-o-bad mein raha 'raza' jo guzra to kuchh raushni bhi chhod gaya wo ek sharar tha jo andesha-e-abad mein raha