kabhi kabhi ye suna-pan khal jata hai bas ek lamha aata hai tal jata hai tujh se mujh ko bair sahi par kabhi kabhi duniya tera jadu bhi chal jata hai jaan liya hai lekin manna baqi hai tu saya hai aur saya dhal jata hai ek din main ashkon mein yun ghul jaunga jaise kaghaz barish mein gal jata hai kis ke qabze mein hai khazana ujalon ka kaun zamin par tariki mal jata hai is ko teri yaad kahun ya apni yaad sham se pahle ek diya jal jata hai