kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye

kabhi khandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye
dur tak sath tere umr-e-gurezan chaliye

rasm-e-derina-e-alam ko badalne ke liye
rasm-e-derina-e-alam se gurezan chaliye

aasmanon se barasta hai andhera kaisa
apni palkon pe liye jashn-e-charaghan chaliye

shola-e-jaan ko hawa deti hai khud baad-e-sumum
shola-e-jaan ki tarah chaak-gareban chaliye

aql ke nur se dil kijiye apna raushan
dil ki rahon se su-e-manzil-e-insan chaliye

gham nai subh ke tare ka bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-khurshid-e-darakhshan chaliye

sar-ba-kaf chalne ki aadat mein na farq aa jae
kucha-e-dar mein sar-mast-o-ghazal-khwan chaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close