kabhi khurshid-e-ziya-bar hun main kabhi saya pas-e-diwar hun main ye jo kuchh rang meri zat mein hain kaun samjhega ki dushwar hun main na-rasida hai abhi meri mahak shakh-e-nau-khez digar ambar hun main hai koi naz uthane wala ek tuta hua pindar hun main log yun bach ke guzar jate hain jaise girti hui diwar hun main main ne mana ki bahut talkh hun 'shauq' apna pairaya-e-izhaar hun main