kabhi kisi ko na ahd-e-wafa ka pas hua sahar ka khwab andheron se ru-shanas hua wo ek lafz jo mahdud-e-khalwat-kun tha wo lafz phaila to mansur-e-khud-shanas hua hamare baad bhi lakhon the dubne wale ab is ko kya karen dariya hi na-sipas hua karam kisi ka had-e-e'tidal se badh kar hamare jazba-e-khud-dar ki asas hua talab mein ham-safari ki lagan kahan phir bhi pukar lenge agar koi aas pas hua udhar tha lafz-e-wafa jaise hukm-e-shahana meri zaban pe aaya to iltimas hua tawaqquat ke jadu ka zor to tuta shikast aaj tilism-e-umid-o-yas hua marahil-e-gham-e-hasti ki uljhanen tauba kahin wafa ka kahin zindagi ka pas hua wo khamushi thi jo tahsin-e-na-shanas hui wo shor tha jo sukut-e-sukhan-shanas hua