kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun main apne shahr ki har ek zaban mein rahta hun badal liya hai zara khwab ke ilaqe ko makan ko chhod ke ab la-makan mein rahta hun main ek harf-e-tasalli hun narm-dil ke liye hamesha se nigah-e-mehr-ban mein rahta hun mujhe zamin pe har samt dar-ba-dar kar ke bata raha hai ki main aasman mein rahta hun chalo ye man liya ek mahak hun mazi ki magar ye hai ki main asr-e-rawan mein rahta hun nai kahani mujhe kyun gawara karne lagi purana harf hun aur dastan mein rahta hun subuk khayal nahin hun ki tere hath aaun bahut pare kahin khwab-e-giran mein rahta hun