kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf kisi ka rukh hai azal se meri zamin ki taraf charagh-e-lala hai raushan na surkh ru-e-hina faza-e-sehn-e-gulistan hai yasmin ki taraf mere badan ne bhi is faisle pe sad kiya ki dagh-e-sajda rahega faqat jabin ki taraf tuyur-e-khwab hon aaine hon sitare hon rawan-dawan hain sabhi arsh-e-nilamin ki taraf hua hai koi agar faisla mere haq mein kabhi main han ki taraf tha kabhi nahin ki taraf badal na paunga main aasman badalne se mera jhukaw rahega usi hasin ki taraf dayar-e-dil ka andhera agar chhata 'sajid' to dhyan jaega us sham-e-awwalin ki taraf