kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai aur is irade ka unchi aawaz mein iada bhi kam nahin hai shahanshah-e-waqt aur darbari apne sud o ziyan se waqif sarir-ara-e-saltanat koi khanwada bhi kam nahin hai asa-e-farman-rawai jadu jagae jis taur bhi rawa hai rumuz-e-asrar-e-hukmarani mein shahzada bhi kam nahin hai koi rakhe be-jahat safar mein masafaton ka hisab kaise ki tausan-e-be-zamam ko be-nishan jada bhi kam nahin hai yahi bahut hai kisi tarah se bharam hi rah jae pesh duniya agar mayassar nahin hai baada khayal-e-baada bhi kam nahin hai mujh aise uftad-gan ki dhaaras na jaane kaise bandhi hui hai pahad si umr katne ko ye zehn-e-sada bhi kam nahin hai kisi ka khota nasib 'yasir' kise khabar kis ghadi khara ho julus-e-shahi ke sath ek be-zaban piyaada bhi kam nahin hai