kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum

kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum
kabhi khak-e-kucha-e-yar hum kabhi shahryar-e-bahaar hum

kabhi chal pade teri rah mein to had-e-junun se guzar gae
tere intizar mein ho gae kabhi naqsh-e-rah-guzar hum

hamein kushtagan-e-hayat se hain junun-e-ishq ki azmaten
kabhi hans pade tah-e-tegh hum kabhi jhum uthe sar-e-dar hum

rahe muztarib kabhi muddaton gham-e-dahr ki kadi dhup mein
jo sukun mila hai to so liye kabhi zer-e-gesu-e-yar hum

tujhe pa saken ki na pa saken koi zindagi ki lagan to hai
ki khushi se kaise ujad den teri aarzu ka dayar hum

gham-e-zindagi se shikast kya rah-e-arzu mein qadam badha
tu jo sath ho to badal bhi den ye mizaj-e-lail-o-nahaar hum

kabhi pas aa ke nigah kar hai ye zindagi tera aaina
tera rup hum tera pyar hum teri aarzu ka singar hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close