kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya zindagi chhin li is tarah ki marne na diya thi bahaar-e-gul-e-jalwa ki hawa ka jhonka jis ne daman nigah-e-shauq ka bharne na diya di jis ehsas ne marne ki tamanna hum ko usi ehsas ki ranai ne marne na diya jaane kya qissa-e-gham tha ki nazar ne teri bhulne bhi na diya yaad bhi karne na diya umr bhar ek tamanna-e-sukun ne hum ko dil ki betabi ka andaza bhi karne na diya