kabhi ranj-o-gham kabhi nafraten mujhe tujhse kya kya mila nahin

kabhi ranj-o-gham kabhi nafraten mujhe tujh se kya kya mila nahin
mere ham-nafas meri zindagi mujhe phir bhi koi gila nahin

koi jashn koi khushi na thi sabhi muskurahaten qaid thin
wo bahaar kaisi bahaar thi koi phul jis mein khila nahin

mere dard ko jo samajh sake meri chahaton ko parakh sake
kabhi aaj tak mujhe dahr mein koi dost aisa mila nahin

na to ranj-o-gham se hi rabt hai na hi aashna-e-khushi hun main
meri zindagi bhi ajib hai ise manzilon ka pata nahin

ho yaqin yaron pe kis tarah sabhi aastinon ke sanp hain
ai 'salim' daur-e-jadid mein kahin nam ko bhi wafa nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close