kabhi sar-ba-sajda hua tha dil kabhi har qadam pe qiyam tha ki wo rasta tere shahr ka sabhi raston ka imam tha kabhi dard-e-tul-e-firaq tha kabhi dukh ki wasl hai mukhtasar rah-e-ishq mein to sukun ka koi ek pal bhi haram tha jise khud-sari ka ghurur tha jo khud-agahi ka zuhur tha wahi dil gada-e-rah-e-talab teri ek nazar ka ghulam tha na to ham-safar se umid thi na hi rahbar pe yaqin tha tere shahar ke sabhi raston ka ajib sa hi nizam tha isi justuju mein sada raha ki teri talab ko farogh ho meri khwahishon mein chhupa hua teri aarzu ka dawam tha mujhe kun kaha to main ho gaya faya-kun mera hi kamal tha main asir-e-ahd-e-alast hun ki bala mera hi kalam tha tere nam se jo alag hua to bana 'hidayat'-e-be-nawa ki azal ke shahr-e-wujud mein tera nam hi mera nam tha