kabhi to aao hamare bhi jaan kothe par liya hai hum ne akela makan kothe par khade jo hote ho tum aan aan kothe par karoge husn ki kya tum dukan kothe par tumhein jo sham ko dekha tha baam par main ne tamam raat raha mera dhyan kothe par yaqin hai balki meri jaan jab ki niklegi to aa rahegi tumhaare hi jaan kothe par mujhe ye dar hai kisi ki nazar na lag jawe phiro na tum khule baalon se jaan kothe par bashar to kya hai farishte ka ji nikal jawe tumhaare husn ki dekh aan-ban kothe par jhamak dikha ke hamein aur bhi phansana hai jabhi to chadhte ho tum jaan jaan kothe par tumhein to kya hai wa-lekin meri kharabi ho kisi ka aan pade ab jo dhyan kothe par go chune-kari mein hoti hai surkhi to aisi kisi ke khun ka ye hai nishan kothe par ye aarzu hai kisi din to apne dil ka dard karen hum aan ke tum se bayan kothe par ladao ghair se aankhen kaho ho hum se aah ki tha hamein to tumhaara hi hai dhyan kothe par khuda ke waste itna to jhut mat bolo kahin na tut pade aasman kothe par kamand zulf ki latka ke us sanam ne 'nazir' chadha liya mujhe apne nidan kothe par