kabhi to aao meri chashm-e-tar mein sham dhale ki koi aata nahin is nagar mein sham dhale main apne chehre pe khushiyan sajae phirta hun charagh jalte hain ashkon ke ghar mein sham dhale main ban ke chand use rasta dikhata rahun kabhi to mujh ko mile wo safar mein sham dhale na aai ras hamein aap ki masihai ki dard uthta hai ab bhi jigar mein sham dhale ye ek aur shikayat bhi tujh se karni thi ki chand aata nahin mere ghar mein sham dhale 'khalil' wahm hai mera ya bad-hawasi hai yahan pe subh chale aur nazar mein sham dhale