kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye

kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye
bura bure ko bhale ko sada bhala kahiye

hawa ka dekhiye rukh kaun kitna badla hai
qusur kis ka hai mera ki aap ka kahiye

bayan ka farq hai warna wahi hai kaifiyyat
bujha bujha na sahi dil jala jala kahiye

tumhaare baad na ki koi aarzu main ne
agar ho dekha kabhi dil ka dar khula kahiye

koi kami si jo har mod par hui mahsus
jise na pur koi kar paya wo khala kahiye

hayat-o-maut ke asrar kaun samjha hai
use azal se abad tak ka silsila kahiye

hai la-ilaj ye aazad ishq ai 'farzi'
ilaj is ka kisi se bhi kab hua kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close