kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah mera wajud hai jalte hue makan ki tarah bhari bahaar ka sina hai zakhm zakhm magar saba ne gai hai lori shafiq man ki tarah wo kaun tha jo barahna badan chatanon se lipat gaya tha kabhi bahr-e-be-karan ki tarah sukut-e-dil to jazira hai barf ka lekin tera khulus hai suraj ke saeban ki tarah main ek khwab sahi aap ki amanat hun mujhe sambhaal ke rakhiyega jism-o-jaan ki tarah kabhi to soch ki wo shakhs kis qadar tha buland jo bichh gaya tere qadmon mein aasman ki tarah bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant guzar na jae ye rut bhi kabhi khizan ki tarah