kabhi tum bhigne aana meri aankhon ke mausam mein banana mujh ko diwana meri aankhon ke mausam mein barasta bhigta ho jab koi lamha nigahon mein wahin tum bhi thahar jaana meri aankhon ke mausam mein kai mausam guzare hain unhon ne dhup chhanw ke naya mausam koi lana meri aankhon ke mausam mein sunahri dhup phaili ho kahin yaadon ke jangal mein to kirnen ban ke muskana meri aankhon ke mausam mein kabhi do-chaar ho jaen meri nazren jo tum se to chhalak jaega paimana meri aankhon ke mausam mein meri aankhon ke sab mausam hain tanhai se ghabrae na tanha chhod kar jaana meri aankhon ke mausam mein hain yun to fasle kitne zamanon ke makanon ke magar milte ho rozana meri aankhon ke mausam mein