kabhi wo hath na aaya hawaon jaisa hai wo ek shakhs jo sach-much khudaon jaisa hai hamari sham-e-tamanna bhi jal ke khak hui hamare shoalon ka aalam chitaon jaisa hai wo bas gaya hai jo aa kar hamari sanson mein jabhi to lahja hamara duaon jaisa hai tumhaare baad ujale bhi ho gae rukhsat hamare shahr ka manzar bhi ganw jaisa hai wo ek shakhs jo hum se hai ajnabi ab tak khulus us ka magar aashnaon jaisa hai hamare gham mein wo zulfen bikhar gain 'nasir' jabhi to aaj ka mausam bhi chhanw jaisa hai