kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein ek intizar ka mausam raha hai aankhon mein kabhi hai khushk kabhi nam raha hai aankhon mein thahar thahar ke ye zamzam raha hai aankhon mein basa hua hai tasawwur mein ek hasin paikar koi khayal mujassam raha hai aankhon mein nazar ke samne aai hain kitni taswiren usi ka aks magar ram raha hai aankhon mein wo qurbaton ka tasawwur wo lams ka jadu sada-bahaar ye mausam raha hai aankhon mein ulajh ke rah gae nindon ke khwab palkon par koi khayal yun paiham raha hai aankhon mein lab-e-khamosh pe 'mina' hai nauha-e-hijran darun-e-zat ye matam raha hai aankhon mein