kabhi zuhur mein aa ja kamal hone de

kabhi zuhur mein aa ja kamal hone de
junun ko bandh na mere dhamal hone de

jo khud-kushi bhi karunga nahin marunga main
kuchh is tarah se tu apna visal hone de

kahin to rakh le mujhe bhi meri mohabbat bhi
ki apne dil mein basa le nihaal hone de

main khud se ladne ki rut mein tumhaara sathi hun
mujhe wajud mein ugne de dhaal hone de

khuda-e-wasl thahar ja abhi tadapne de
machal machal ke zulekha sa haal hone de

sila zarur hai 'saim-ji' hijr raaton ka
kisi ki yaad mein aankhen to lal hone de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close