kachche dhage pe na ja is ka bharosa kya hai naseha rind-e-bala-nosh ki tauba kya hai chain lene nahin deti tu kisi bhi surat zindagi kuchh to bata de tera mansha kya hai haal tera bhi yahi hoga sun ai ghuncha-e-nau dekh kar phul ke anjam ko hansta kya hai aur honge gham-o-alam se darne wale tu ne ai gardish-e-dauran hamein samjha kya hai main teri mast nigahon ke tasadduq saqi jam rahne de tere jam mein rakha kya hai jaane kis aas pe atka hai ye dam aankhon mein warna ab aap ke bimar mein rakha kya hai zindagi di hai to allah ye taufiq bhi de main samajh lun meri takhliq ka mansha kya hai ai 'aziz' us ka har ek shai se hai jalwa zahir phir samajh mein nahin aata ki ye parda kya hai