kadhaw rakh ke takhayyul pe aasman tale yaqin ke tel mein logon ne sab guman tale aqidaton ka ajab falsafa hai kya kiya jae ki is mein ungliyan dab jati hain kaman tale zaban aag sahi dil hamara jal-thal hai tapish pahunchti nahin lau ki shama-dan tale fasad baala-nashinon ki shah pe hota hain wagarna rahte nahin dant kya zaban tale shuur masnad-e-auham par hai jalwa-fagan kabhi bithao haqiqat ke saeban tale