kaf-e-khizan pe khila main is e'tibar ke sath ki har numu ka talluq nahin bahaar ke sath wo ek khamosh parinda shajar ke sath raha chahakne wale gae baad-e-sazgar ke sath khule daron se talabgar khwab-gahen magar main jagta raha ek khwab-ham-kanar ke sath kali khili hai sar-e-shakh aur ye kahti hai ki koi dekhe tamanna-e-khush-gawar ke sath wo mujh ko wo na laga dekhta sisakta hua nigah-e-zard ke sath aur dil-e-figar ke sath madar-e-waqt wo gunjaishen zara phir se ki pad rahen kisi diwar-e-saya-dar ke sath